Sachin Tendulkar recites Marathi MARD Poem Full text Script recites for MARD Men against Rape and Discrimination

MARD. A poem by Javed Akhtar. Recited by Sachin for Farhan Akhtar's MARD

Jiski aankhon mein hai jagmagati hui jaise gehri sharaafat ki ik roshni
Jis ke andaz mein ek tehzeeb hai
Jis ke lehjay mein narmi hai
shabdon mein tameez hai
Jis ke dil mein bhi aur jis ki baton mein bhi
aurat ke vastay poori izzat bhi hai poora aadar bhi hai
Jis ko aurat ke tan man ka, jeevan ka sammaan hai
Aurat ke aatm-sammaan ka jisko har ek pal dhyaan hai
Jo kabhi ek pal bhi nahin bhoolta aurat insaan hai
Jis ko apni bhi pehchaan hai
Jis mein shakti bhi hai
Jis mein himmat bhi hai
Jismein Gaurav hai, aatm-Vishwas hai
Jo agar saath hai 
Jo agar paas hai
Uske hone se aurat ko apni suraksha ka ehsaas hai
Wo jo aurat ka ek sacha saathi hai, Ik dost hai, Ek hamdard hai
Sach Toh ye hai
vohi mard hain

No comments:

Post a Comment

Do pass your comments here.